اقرأ باسم ربك الذي خلق

3 Jan 2018

Kin Kin Logo Se Parda Karna Zaruri Hai?


Aurat apne mahram mardo se parda nahi karegi aur aurat ka mahram wo hota hain jisse hamesha ke liye nikah haraam ho, hurmat nikah ke teen asbab hain:-

1. Qarabat dari
2. Dudh ka rista
3. Silsilayi taluq

۞ Nasbi Mahram:

Qarabat dari ki wajah se mahram ki tafsil hasbe zail hai:-

1- Aaba wa Ajdad: Aurto ke baap, unke ajdad uper tak, in main dada aur nana sab shamil hain.

2- Bete: Aurto ke bete, unmain bete, pote, nawase wagera.

3-Aurto ke bhai: Unmain haqiqi bhai, baap ki taraf se aur maa ki taraf se tamam bhai shamil hain.

4- Bhanje aur bhatije: In main bhai ke bete, bahen ke bete, aur unki nasal shamil hain.

5- Chacha aur mamu: Ye dono bhi nasbi mahram mai shamil hain, inhe walidain ka qayam maqam hi samjha jata hain, baaz dafa chacha ko bhi walid kah diya jata hain.

Razai mahram: Isse wo murad hain jo raza'at yani dudh ki wajah se mahram ban jate hain. Hadis mai se ki Allah tala ne raza'at se bhi un risto ko haraam kiya hain jinhe nasb ki wajah se haraam kiya hain.

( Munsad Imam Ahmad, safa 131 jild 1).

Jis tarha nasbi mahram ke samne aurat ka parda na karna jaiz hain usi tarha raza'at ki wajah se mahram banne wale sakhsh ke samne aurat ka parda na karna mubah hain yani aurat ke razai bhai, razai walid, razai chacha se parda karna zaruri nahi chunache Hazrat Aayesha razi allahu anha se riwayat hain ki unke razai chacha aflah, aaye aur andar aane ki izazat talab ki toh maine unhe izazat na di balki unse parda kar liya jab Rasul Allah ﷺ ko iska ilm hua toh Aap ﷺ ne farmaya usse parda na karo isliye ki raza'at se bhi wohi hurmat sabit hoti hain jo nasab se sabit hoti hai.

(Sahih Muslim, hadith- 1445).

Jis tarah nasbi mehram ke samne aurat ko parda na karna jayez hai is tarah raza'at ki wajah se Mehram banne wale shaqs ke samne bhi iske liye pardah na karna mubah hai Ya'ni aurat ke razai bhai, Razai walid aur razai chacha se pardah karna zaruri nahi hai. Chunanche Hazrat Ayesha r.a. se riwayat hai ke inke razai chacha, iflah aae Aur andar aane ki ijazat talab ki to maine inhe ijazat na di balke inse padah karliya, Jab Rasool ﷺ ko iska ilm hua to Aap ﷺ ne farmaya is se pardah na karo is liye ke raza'at se bhi wahi hurmat sabit hoty hai jo nasb ki wajah se sabit hoty hai. (Sahih Muslim, al raza'a:1445).

Is hadis ke mutabik aurat ke razai mahram bhi nasbi mahram ki tarha hain lihaza razai mahram se parda karne ki zarurt nahi.

۞ Sasurali Mahram:

Aurat ke sasurali mahram se murad wo riste hai jinse shadi ki wajah se abdi taur par nikha haraam ho jata hain jaisa ki sasur aur uska beta ya damad wagera walid ki biwi ke liye mahram musaharat wo beta hoga jo uski dusri biwi se ho. Surah Noor ki ayat-31 me Allah tala ne sasur aur khawind ke beto ko shadi ki wajah se mahram qarar diya hain aur unhe baapo aur beto ke saath zikar kiya hain aur unse parda na hone ke huqum main barabar qarar diya hai. Mazkurah Mehram ristedaro ke alawa jitne bhi ristedar hain unse aurat ko parda karna chahiye khwa wo chacha, fufiyo, khala aur mamuo ke bete hi kyu na ho, isi tarha khawind ke chacha aur mamu se bhi biwi ko parda karna chahiye kyuki wo uske khawind ke chacha aur mamu hain uske nahi. (wa Allahu alam).

•٠•●●•٠•