اقرأ باسم ربك الذي خلق

25 Dec 2017

Wuzu Todne Wali Chize


۞ Sharamgaah Ko Haath Lagaane Se Wuzu:

Nabi e Akram ne farmaya: ‘Jo shaqs sharamgah ko haath lagae pas wo wuzu kare.’ (Abu Dawood: al Tahaara P181). Ise Imam Tirmizee (al Tahaara: Baab al Wuzu 82) ne ise Hasan Saheeh kaha. Ye hukam tab hai jab kapde ke baghair barah raast hath lage wallah a’alam.

۞ Neend Se Wuzu:

Sayyadna Ali riwayat karte hain ke Rasool Allah ne farmaya: ‘Dono’n aankhei’n, Suren ki sarband (tasma) hain. Pas jo shaqs so jaae ise chaahiey ke dobarah wuzu kare.’

(Abu Dawood: al Tahaara 203 – Ibne Majja: al Tahaara 277) Ise Imam Ibne Islaah aur Imam Nawavi ne Hasan kaha. 

۞ Hawa Qhaarij Hone Se Wuzu:

Rasool Allah ke saamne ek aise shaqs ki haalat bayan ki gai jise qhayal aaya ke namaz mein iski hawa qhaarij hui hai to Nabi e Akram ne farmaya: ‘Namaz is waqt tak na tode jab tak (hawa nikalne ki) awaaz na sun le ya ise badboo mehsoos ho.’

(Bukhari: al Wuzu 137 – Muslim 361) 

Is hadees se ma’aloom hua ke jab tak hawa qhaarij hone ka mukammil yaqeen na ho jaae wuzu nahi toothta lehaza jise peshab ke qatro’n ya waham ki bimaari hua ise bhi jaan lena chahiey ke wuzu ek haqeeqat hai, ek yaqeen hai ye yaqeen se hi toothta hai. Shaky a waham se nahi. 

۞ Qae, Nakseer Aur Wuzu:

Qae ya nakseer aane se wuzu toot jaane waali riwayat ko jo Ibne Majja (1221) mein hai. Imaam Ahmad aur deegar muhaddiseen ne zaeef kaha hai, balke is silsile ki tamam riwayat saqht zaeef hain. Lehaza ‘Bara’at Asliya’ par amal karte hue (ye kaha jaasakta hai ke) khoon nikalne se wazu faasid nahi hota. Iski taeed is wa’aqea se bhi hoti hai, jo Ghazwa Zaat ar Raqa’a me pesh aaya. Jab ek Ansaari Sahaabi raat ko namaz padh rahe the, kisi dushman ne in par 3 teer chaae jin ki wajah se wo saqht zaqhmi hogae aur inke jism se khoon behne laga magar iske bawajood wo apni namaz mein mashghool rahe.

(Abu Dawood: al Tahaara 198) Ise Imaam Haakim V1 P56 aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.

Ye ho hi nahi sakta ke Rasool Allah ko is waqa ka ilm na hua ho ya aap ko ilm hua aur aapne inhei’n namaz lautane ya khoon behne se wuzu toot jaane ka masla bataya magar saheeh ahadees me iska zikar na ho. Isi tarha jab Umar zaqhmi kie gae to aap isi haalat me namaz padhte rahe halan’ke aapke jism se khoon jaari tha.

(Muwatta Imam Maalik: al Tahaara V1 P39 – Baheqhee V1 P357). Is se ma’aloom hua ke khoon ka behna naaqis e wuzu nahi hai.

Rasool Allah ne farmaya: ‘Agar namaz mein wuzu tuth jaae to naak par haath rakh kar lauto (T: Turn around and leave).’

(Abu Dawood: al Salah 1114) Ise Imam Haakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.