اقرأ باسم ربك الذي خلق

25 Dec 2017

Kya Biddat e hasana Islam me jaiz hai ?


Baaz Muslim aese hote hai jinhe RasoolAllah ﷺ ka Deen kaafi nahi hota. Isliye wo nayi-nayi chize Deen me dakhil karte rahte hai. Aur is jahalat me wo sahabao par bhi biddat karne ka ilzam lagate hai maazAllah. In logo ko apni baat kahne se pahle dubara sochni chaiye. Aur wo Daleel bhi dete hai jo ki asal me be-bunyad hai. Unke pas bas 2 dalail hi hai jinse wo Biddat e hasana sabit karne ki koshish karte hai. Allah ki panah!!

۩ Pahli Dalail jo wo dete hai:

Abdur Rahman bin ‘Abdul Qari r.a. kahte hai ki Mai ek baar Ramada ki raat Umar r.a. ke sath masjid aya aur paya ki log alag alag Jamaat me padh rahe hai. Ek admi akele padh raha hai aur ek admi chote se jamat me uske piche padh raha hai. Toh Umar r.a. ne kaha ki mere Raae me ye behtar hoga ki ek Qaari ki Imamat me in sab ko jama kardu. Toh unhone sabko Ubai bin Ka’b ke piche jama karne ka apna man banaya. Fir dusri raat maine un ke sath fir gaya aur (dekha ki) log Qirat karne wale ke piche padh rahe hai. Aur ispar Umar r.a. ne kaha, “Ye ek achi biddat hai”.

Sahih al-Bukhari, hadith- 2010.

Hamara Jawab:

Is hadith me jo biddat ka lafz istemal kiya hai Umar r.a. ne ye Lugwi maa’no me hai na ki sharai biddat. Kyu ki Umar r.a. aur Abu bakr r.a. ke khilafat me Jamaat se nahi padhi jati thi Taraweeh. Isliye unhone kaha ki ye achi bidat hai matlab ye acha naya kaam hai jo us waqt nahi ho raha tha jab tak ke Umar r.a. ne iska hukm na de diya. Aur agar ab bhi samajh me na aye to ye soche ki kya ye waqai sharai biddat thi? Ye sharai biddat kaise ho sakti hai jab ki RasoolAllah ne apni zindagi me Jamaat se Taraweeh padhai thi.

Ye rahi ahadith:

Urwa bin Zubair Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ayesha radi allahu Anha ne farmaya ek baar (Ramadan ki ) aadhi raat mein Rasoollallah ﷺ masjid mein tashreef le gaye aur wahan taraweeh ki namaz padhi, sahaba Radi Allahu Anhuma bhi aapkey saath namaz mein shamil ho gaye, subah huyee to unhoney uska charcha kiya phir dusri raat mein log pahley se bhi zyada shamil ho gaye, aur Aap ﷺ ke saath namaz padhi. Dusri subah ko aur zyada charcha hua to teesri raat us sey bhi zyada log jama ho gaye , Aap ﷺ ne (us raat bhi) namaz padhi aur logo ne aapki pairwi ki, Chothi raat ko ye aalam tha ki masjid mein namaz padhney aaney walo ke liye jagah bhi baqi nahi rahi ( magar us raat Aap ﷺ Namaz ke liye bahar hi nahi aaye) bulki subah namaz ke liye tashreef laye aur jab namaz padh li to logo ki taraf mutwajja ho kar shahadat ke baad farmaya Amma baad tumharey yahan jama honey ka mujhe ilm tha lekin mujhe iska khauff hua ki ye namaz tum par farz na ho jaye aur phir tum usey ada na kar sako Aur Aap ﷺ ki wafat ke baad bhi yahi kaifiyat rahi ( log alag alag taraweeh padhte rahe ).

Sahih Bukhari, Vol 3, hadith 2012.

Is hadith se bilkul wazeh ho jata hai ki Ye amal biddat nahi tha kyuki ye pahle hi RasoolAllah apni zindagi me ye amal kar chuke the. Biddat nayi chiz ko kahte hai jo pahle se hi kiya gaya hai usko dubara karne ko nahi.

Aur wo ek aur baat kahte hai ki RasoolAllah ne 3 din padhaya tha lekin Umar r.a. ne pura Ramadan, toh isliye ye biddat hui. Iska jawab ye hai ki Agar RasoolALlah ne koi amal kar ke chhor diya aur fir use sahabao ne kiya to use sunnat ko zinda karna kahte hai biddat karna nahi. Biddat nayi chiz ko kahte hai deen me jiska wujud na ho pahle. Aur Umar r.a. ne koi nyi chiz nahi kari thi unhone RasoolAllah ﷺ ki sunnat ko zinda kiya thi. Isse ye bhi pata chala ki agar koi murda sunnat zinda karta hai aur use Acchi Biddat kahta hai to usme koi harj nahi aur ye Umar r.a. ki sunnat hogi. Par jis chiz ka wujud hi na ho aur use biddat e hasana kahe to RasoolAllah ﷺ ne biddat ki kisme nahi batayi unhone saaf alfazo me kaha hai ki HAR BIDDAT EK GUMRAHI HAI. Ab ahle biddat chahe jitni koshish karle ‘har biddat’ ka matlab ‘har biddat’ hi hoga buri biddat ya acchi biddat nahi. Aur hame bhi koi aetraz nahi hoga agar koi murda sunnat ko zinda kare aur use biddat e hasana naam dekar us par amal karne lage. To fir ye wazeh ho gaya ki Umar r.a. ne jo ise biddat e hasana kaha hai wo ek murda sunnat ko zinda kar ke kaha hai na ki Deen me naya tarika ijaad kar ke.

۩ Dusri hadith dete hai ahle biddat bhai log. Ye hadith kuch aesi hai

“Jo Deen Me Acha Kaam Ejaad Karey Usko Aur Jo Is Par Amal Karenge Unko Bhi Sawab Jabke Ejaad Krne Wale Ko Inke Barabar Sawab Milega Jo Deen Me Bura Kaam Ejaad Kare Usey Gunah Hoga Aur Jitne Log Isko Karenge Unko Aur Unke Barabr Isey Gunah Hoga” [Daleel- Sahih Muslim]

Is hadith ko dekar kahte hai ki dekhye is me kaha gaya hai ki Deen me achi biddat kar sakte hai. Aiye dekhte hai is hadith ki haqiqat kya hai:

Jab ap Sahih Muslim se ye hadith padhenge to apko pata chalega ki is hadith ke piche ek waqye ka zikr hai. Aur wo waqya isi hadith me hai. Aiye ham wo waqya jante hai:

Mundhir bin Jarir riwayat karte hai apne walid se, Unhone kaha ki ham RasoolAllah ﷺ ke pas din ke pahle hisse me the. Wo kahte hai Ap ﷺ ke pas kuch log nange paao, nange badan, phate hue ooni chadare ya Sobb pahle hue Talware latkaye hue aaye. Unki Aksaryat Mudar Kabileh se thi balki wo sab ke sab Mudar Kabile se hi the. Un ke garibi ko dekh kar RasoolAllah ﷺ ka chehre mubarak ka rang badal gaya. Aap ﷺ andar Tashreef le gaye fir bahar aye aur Bilal r.a. ko irshad farmaya. Unhone Azan di aur Iqamat kahi. Aap ﷺ ne namaz padhai aur fir khitab farmaya aur farmaya:

Aye logo apne us Rab ka taqwa ikhtiyar karo jis ne tumhe ek jaan se paida kiya aur us ka joda banaya aur fir Un dono maise Mardo aur Aurto ko bakasrat faila diya aur Allah se Daro jis ke naam ka wasta de kar tum ek dusre se mangte ho aur Rahmo ke (takazo ka) bhi khyal rakho. Yakeenan Allah tum par Nigraan hai. Aur surah al-Hashr ki ayat tilawat farmayi.

(Is par) ek shaks apne Dinar se sadaqa karta hai, apne Dirham se, Apne kapde se, Apne Gandum ke Saa’ se, Apne Khajur ke Saa’ se. Yaha tak ke farmaya khwah Khujur ke Tukde se. Raawi kahte hai ki Ansar maise ek shaks ek choti si Thaili le kar aya, Kareeb tha ki is ke hatheliya is se ajiz aa jate balki woh aajiz the. Raawi kahte hai ki fir log pe log aane lage yaha tak ke maine Rasool ﷺ ka chehra mubarak damakta hua dekha Goya ki wo sone ka ek Tukda hai. Rasool ﷺ ne farmaya JIS NE ISLAM ME ACHHI SUNNAT QAYAM KI USKO USKA AJAR AUR UNKA AJAR BHI JO US KE BAAD USPAR AMAL KARE BAGAIR ISKE KI UNKE AJAR MAI SE KUCH KAM KIYA JAYE. AUR JIS NE ISLAM ME BURA TARIKA QAYAM KIYA US PAR US KA BOJH HOGA AUR UNKA BOJH JINHO NE US KE BAAD US PAR AMAL KIYA BAGAIR IS KE KI UN KE BOJHO ME SE KUCH KAM KIYA JAYE.

Sahih Muslim, hadees- 2219.

Ye hadith padhne ke baad baat to bilkul wajeh ho jani chaiye ki yaha achi sunnat se kya murad hai. Ahle biddati bhai is hadith ko mis-quote karte hai aur alfaz badal dete hai. Hadith me wazeh achi sunnat ke alfaz hai aur unlog sunnat ko badal kar biddat alfaz rakh dete hai aur kahte hai dekhye hadith kahti hai ki achi biddat se sawab milega. In ko Allah se darna chaiye ki ye Hadith ke alfaz ko badal rahe hai aur awaam ko gumraah karne ki koshish kar rahe hai. Rasool ﷺ ne farmaya ki jisne mere hawale se wo kaha jo maine nahi kaha to wo apna thikana jahannam me dekh le. Ab in bhaiyo ko jahannam se to kamaskam darna hi chaiye ki wo hame wo bata rahe hai RasoolAllah ﷺ ke hawale se jo RasoolAllah ﷺ ne kabhi nahi kaha. Is hadith se yahi sabit hota hai ki Sunnat ya ache kaam karne ma pahel karna chaiye aur jab ham pahel karenge aur dusre log hame dekh kar wahi ache kaam karenge to unka sawab bhi hame milega bina uske sawab me kami hue. Is hadith se biddat ijaad karne ka sire se hi matlab hi nahi nikalta.

•٠•●●•٠•

AB DEKHTE HAI KI BIDDAT E HASANA KE BAREME RASOOLALLAH, SAHABA AUR ULEMA E DEEN KYA FARMATE HAI:

۩ Mohammad ﷺ farmaya: ”Maine tumhare paas kuch nahin chhora jo tumhe Allah ke aur kareeb le aye siwaaye jo maine tumhe hukm kiya hai.”

[Reported by at-Tabaraani, authentic, refer to Asl Sifatis-Salaati n-Nabee, vol. 3, p. 942][Musnad Ahmad, Silsilah Sahiha 1803, Sahih by Albani]

۩ Abdullah Ibn UMar(RA) farMate hain: TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lage”.

SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH138). 

۩ IMAAM MAALIK (raheemullah) KAHTE HAI:-

Jo yeh sochta hai ki biddate hasana jaisi koi chiz hai Islam me, toh usne RasoolAllah ﷺ ke Risalat par Khayanat ka Ilzaam lagaya Kyuki Allah Quran me kahte hai “Is din hamne tumhare mazhab ko pura kar diya hai…..” Toh jo mazhab nahi tha us zamane me aj wo mazhab nahi ban sakta.

(AL-‘ITISAAM AS-SHAATIBI 1/38).

۩ Abdullah ibn Umar riwayat karte hai ki ek bar Umar r.a. ke bagal me ek shaks ki chik ayi aur fir usne kaha “Sari taareefe Allah ke liye hai aur salamti ho Mohammad ﷺ par”. Ye sunkar Umar r.a. ne kaha ki mai bhi Al-Hamdulillah Was-Salamu ‘Ala Rasulillah kahta hu lekin ye wo nahi hai jo RasoolALlah ne (cheenk aane par) hame taaleem di hai. RasoolAllah ﷺ ne hame (cheek aane par) “Al-Hamdulillah ‘Ala Kulli Hal” kahne ki taaleem di hai.

Al-Tirmidhi Hadith, Vol. 5, Book 41, Hadith-2738.

LAZIM BAAT HAI KI RASOOL ﷺ PAR SALAM BHEJNA GALAT BAAT NAI LEKIN UMAR R.A. KE MUTABIK CHIK ANE PE RASOOL ﷺ PAR SALAM BHEJNA GALAT HAI KYUNI NA RASOOL ﷺ NE AISA KIYA NA HI SIKHAYA SAHABA R.A. KO.

۩ Anas bin malik (r.a) farmate hai ke Rasool Allah ﷺ ki ibadat ke bare mey puchne ke liye 3 shakhs Aisha r.a.(azwaje-mohtaraat) ke pass aaye, jab un logon ko Rasool Allah ﷺ ki ibadat ka tariqa bataya gaya to, unhone aap ﷺ ki ibadat ko thodi samjhi aur kaha, humara Rasool Allah ﷺ se kya muqabala ??, Allah ne aapke agle piche gunah maaf kardiye hai, un mey se 1ne kaha, main humesha raat bhar namaz padhta rahunga, 2re ne kaha main humesha roza rakha karunga, 3re ne kaha ki mai auraton se door rahunga, main nikah nahi karunga, unmey ye guftagu ho rahi thi, ke RasoolAllah ﷺ aaye aur farmaya, kya tum logon ne ye baate kahi hai??Gaor se suno, Allah ki kasam, main tumme sab se zada Allah se darne wala hon, or tumme sab se zada taqwa-ikhtiyaar karne wala hon, lekin main roza rakta hon or nahi bhi rakta, raat ko namaz padhta hon aur sota bhi hon, or auraton se nikah bhi karta hon,Toh sunlo yahi mera tariqa(sunnat) hai aur jisne mere tariqe(sunnat) se hatkar kiya wo mujhse me se nahi hai. 

(Bukhari, Wedlock, Marriage (Nikaah) [62:1].

{Laazim baat hai ke puri raat namaz padhna wagaira zahiri taur par neki ka kaam lagta hai par isko isliye RasoolAllah ﷺ ne galat kaha kyuki ye RasoolAllah ke tareeke se hatkar tha}.
•٠•●●•٠•
Prepared by:- Faisal Khan.
BIDDAT KI WAZAHAT KE LIYE YE LINK CHQ KARE-   https://www.iqrakitab.com/2017/12/biddat.html